Love SMS
We help you to convey your thoughts in simple and stylish way. Choosing the right words for the right person is sometimes a little difficult. We realize that problem and have collected innumerous Love SMS for you to chose and message it to your loved ones. The wide variety includes Cute Love SMS, Romantic Love SMS, Sweet Love SMS, Sad Love SMS, Quotes Love SMS, Poetry Love SMS, Valentine’s Day Love SMS, Funny Love SMS, Naughty Love SMS and so much more.
kaha tha naa mujhey ik khawab rehney do
kaha tha na…..
kaha tha naa……… mujhey ik khawab rehney do..?
bohot hi shoq tha tum ko
hamara dil dukhanay ka,
musalsal choot ki zad par
hamen taqseem karnay ka,
hamen mitti bana kar rait me
tajseem karnay ka…..
chalo khush ho gaye na ab…?
tumhen apna samajhnay ki
jo ghalti hum nay ki thi na,
bohot hai ab…..
bohot takleef di hai dunia walon nai
bohot hi choot khai hai zamany say…
magar hum bhi ajab thay na…….?
kisi k chain ki khatir,
sukoon apna luta baithay.
kisi ki khawahishon ko ehm hum ne
itna jana k,
ghuroor apna mita baithay..
bohot nadan thay na hum…..?
chalo acha hua khush fehmion ka
silsila toota,
thakan jo hai guzartay waqt k sang
dhal hi jayegi.
magar hum bhi ajab thay na…..?
k hum to waqt kay sang
toot jatay hain magar
tora nahi kartay…
k hum nay bad\’dua dena nahi seekha,
dua ye hai k tera samna na ho
kisi k sath bhi mujh sa bura na ho.
bohot masoom thay na hum….?
kaha tha na…?
mujhay ik khawab rehnay do…
irfan niz 03363721861
Tum bin jena esa hai
Tum bin jena esa hai
Zehar ko pene jesa hai
Tum se bichar ke zinda rehna,
Hum se pucho kesa hai.
Mera tum ko takty rehna,
Chand ko takne jesa hai.
Tera hans ke batain karma,
Khilte pholon jesa hai.
Badal tere pyaar ka hamdam,
Aaj to khul ke barsa hai.
Chand ki nazrein jhuk jati hain
Jisay tha samjha sahara zindagi ka
Jisay tha samjha sahara zindagi ka
tha woh ek khwab meri bay khudi ka
dard uska tha or tarap meray dil ki
hua hay yeh hissa aaj bay hissi ka
mat hanso halat-e-zar per meri
kuch tou andaza karo meri beybasi ka
kehtay thay keh mat dil laga
dekha hay tunay anjam dillagi ka…
irfan niz 03363721861
Ham Nay Soch Rakha Hai
Ham Nay Soch Rakha Hai
Chahay Dil Ke Har Khowish
Zindagi Ke Aankhoon Say
Ashk Ban Kay Beh Jaye
Ghar Ke Sari Dewarain
Chatt Samait Gir Jaye
Or Be-Muqaddar Ham
Khud He Kyun Na Dab Jaye
Tum Say Kuch Nahi Kehna
Kese Neend Thi Apni
Kesay Khowab Thay Apnay
Or Ab Gulaboo Per
Neend Wali Aankhoon Per
Naram-Kho Say Khowaboo Per
Kyun Azaab Totay Hain
Tum Say Kuch Nahi Kehna
Ghir Gaye Hain Ratoon Main
Be-Lebaas Batoon Main
Is Tarah Ke Ratoon main
Kab Charag Jaltay Hain
Kab Azaab Taltay Hain
Ab Tu In Azaboo Say
Bach Keh Bhi Nikalnay Ka
Rasta Nahi Jana !
Jis Tarah Tum Ko Bhi
La-Zawaal Lamhoo Say
Wasta Nahi Jana !
Ham Nay Soch Rakha Hai
Tum Say Kuch Nahi Kehna !!!!!
irfan niz 03363721861
Dard Nainon Mein Phailta Raha
Dard Nainon Mein Phailta Raha
Ye Aur Baat Ke
Barrey Zabt Say Main Jhailta Raha
Mohabbaton Say Darney Laga Tha
Khud Pay Sitam Karney Laga Tha
Raah-e-Faraar Dhoondhney Laga Tha
Par Jaaney Kaisey
Koi Barri Adaa Say
Kaanon Mein Ras Ghol Ke Kehney Laga
Tanha!!
Ye Mohabbaton Ka Nagar Aabad Rakhna
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Ye Mohabbatein
Ye Chahatein
Tumhein Kahin Say Na Milein Gi
Bhoolna Na Kabhi Tum Issey
Yahan Sabhi Ko Tumhari Zaroorat Hai
Sach Poocho To
Mujhey Bhi Tumhari Zaroorat Hai ..!!!!
irfan niz 03363721861
Dur kahien ik khwaab nagar mein
Dur kahien ik khwaab nagar mein
khwaab humare baste thay
un khwaabon mein kuch khwab thay aisay
saath buna hum kerte thay
neend se bojhul aankhien ik din
khwaab ko bunte bundh howien
woh khwaab adhora chooth gaya
woh khwaab bhi ab to bhool gaya
woh khwaab adhora hai ab tak
woh baat adhori hai ab tak
kuch kehne k kuch sunane k
armaan adhore hein ab tak
Woh khwaab ju kal shab aaya tha
sandes apne sung laaya tha
kuch gum sum sa\’ kuch naadim sa
sung aik kahani laya tha
Main ne poocha \”koun hai tu ?
kya us ne tujh ko bheaja hai ?
in neend se bojhul ankhoon pe
kya murhum rukhne aaya hai?
ab bol! bata aey khwaab tujhay
kiya poora wo ker paya hai ? \”
woh Khwaab bhi aik pujari tha
chup hi raha kuch bhi na kaha
woh apne is khaali pan ko
undar hi undar maar gaya
ik talakh haqeeqat ko jaisey
dil ne mere phir jaan liya
Woh khwaabon ko bunney wala
ab khwaab udhaira kerta hai
khwabon ki qadar ab na jaaney
adhora pan woh na jaaney
woh khwaab thakan mein choor sa tha
woh khwaab bhi sub kuch haar gaya
us ik adhore khwaab ko to
Atish k hawaley kerdala
Hum bhi to sada se khaak hi thay
phir khaak mein hi mil jaeyingey
un khwabon ko un lumhoon ko
tanha jee ker mur jaeyingey
woh khwaab bhi ab to raakh howa
Dur kahein us khwaab nagur mein
ik khwaab ka aaj khoon howa …
irfan niz 03363721861
Best ghazal
Jab guzar jay gi bahaar to kia karo gay…
Yaad aaye ga mera pyar to kia karo gay…
Satatay ho aisey jaisey ajnabi hoon main…
Jab rothein gay tum sey to kia karo gay…
Apnao gay kisi aur ko mujhay tanha chour kar…
Usey hoga na tum sey pyar to kia karo gay…
Aakhir lout kay aao gay tum meri qabar par…
Phir milay ga na pehla pyar to kia karo gay…
Abhi to hanstay ho meri wafaon par…
Phir jab hum hi na hon gay to kia karo gay…
Faisal
03152540026
Ik idteraab
Ik idteraab sa hai rooh kay andar basa hua…
Ankhon main merey khawab jal rahay hain kia likhon….??
Khushbo kay jazeron sey samandar
ki hadon tak…
Is
shehar main sab kuch hai
bus
teri
kami
hai
kabhi kabhi zindagi…
Main
koi bahot acha lagta hai…
Jis ki waja
maloom nahi ho sakti…
Hum to samundar main un chotay chotay jazeron ki manid hain…
Jo qareeb
honay kay bawajud
b
bahot door hain…
Faisal 03152540026
Tum bin jena esa hai
Tum bin jena esa hai
Zehar ko pene jesa hai
Tum se bichar ke zinda rehna,
Hum se pucho kesa hai.
Mera tum ko takty rehna,
Chand ko takne jesa hai.
Tera hans ke batain karma,
Khilte pholon jesa hai.
Badal tere pyaar ka hamdam,
Aaj to khul ke barsa hai.
Chand ki nazrein jhuk jati hain,
Yaar mera to esa hai. . .
irfan niz 03363721861
Abhi Kamsin ho
Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dill mera
Tumhare he liye rakha ha, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!
Reply
…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa ha, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!
irfan niz 03363721861