Latest SMS Messages
breakups-wakeup
BREAKUPS Aren’t Always
Meant To Make Up,
Sometimes They Happen To
Give You A Chance To WAKE UP
~ Hena (0307-2536858)
sad
Mon, i am far from you. i want to go back with you. but i can not. i really miss you. and i wanna you have a happiness life,i bless for you.miss you.
MOUT KI FIKAR KARO
AGAR TUM MOUT KI RAFTAR KO DEKH LETY TO UMEEDO SE NAFRAT KARTE OR KABI UN KO POORA KARNE MAIN MASROOF NA HOTE IRSHAD (HAZRAT ALI R.A)
mosam
Yeh mousam yeh mast nazarey
Piyar karo to in se karo
Kartey hain yeh tum ko isharey
… Pyaar karo to in se karo
Ethlati yeh shokh hawayeen
Bahti nadiya chanchal dhareen
Khilti kaliyan urtey badal
Sach mano yeh sab hain tumare
Jewanbhar k hain yeh saharey
Pyaar karo to in se karo
Kahti hain rangeen bahareen
Dil main pyaar k deep jala lo
Ban jao tum meet kisi k
Aur kisi ko apna bana lo
Phuloon main hain rang tumare
Pyaar karo to in se karo
mere pass amanat hai ab bhi
mere pass amanat hai ab bhi,
sab mousam teri yado ke..
kuch khushbu tere baato ki,
ek duniya tere wado ki,
aur tute foote kuch sapne,
mere pass amanat hai ab bhi….
mere dil me ab tak zinda hai,
ek aas tere laut aane ki…
ulfat ki sabhi nagme zana,
me ab bhi gun gunata hu…
tere name se jodkar apna naam me 100 bar likhta or mitata hu…
aur apna dil bahlata hu…
mene sambhal ke rakhe h,
kuch khwab tere en ankho me,
kuch ujade phool kitabo me….
tere nam ke khat aur afsane jo likhe hizir ki rato me …
mere pass amanat h ab bhi,
agar mumkin ho to laut aao,
aur apni amanat le jao…2
ek bujhti tammana chaht ki , ek murda jasba ulfat ka aur jhoota lafj muhhabat ka .. mere pass amanat h abhi bhi…
irfan niz 03363721861
Do pal ke haseen khwaab
Do pal ke haseen khwaab,
Do dil ke fasane,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Saanson ki mehak unki,
Mohabbat se kahi hr baat,
Mashook bari zalim thi,
Bari qaatil hai unki yaad,
Bhoole bichare woh waade,
Kache dhaagon si woh kasmein,
Do pal ke the saare,
Na Hue kabhi woh apne,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Do pal ke haseen khwab,
Do dil ke fasaane…
irfan niz 03363721861
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
irfan niz 03363721861
suna hoga bohat tum ne
suna hoga bohat tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo…
irfan niz 03363721861
Hum aksar ye samjhtay hain
Hum aksar ye samjhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool bethay hain
magar aisa nahi hota
muhabbat daaimi sach hai
muhabbat thehar jati hai
hamari baat k andar
muhabbat beth jati hai
hamari zaat k andar
magar
ye kum nahi hoti
kise bhe dukh ki sorat main
kabhi koe zarorat main
kabhi anjaan se ghum main
kabhi lehjay ki thandak main
udasi ki zarorat main
kabhi barish ki sorat main
hamari aankh k andar
kabhi aab-e-rawan bankar
kabhi qatray ki sorat main
bazaher aisa lagta hai
usay hum bhool bethay hain
magar
aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye her giz kum nahi hoti
Muhabbat thehar jati hai…
irfan niz 03363721861
Ye jo zindagi ki kitab hai
Ye jo zindagi ki kitab hai,
Ye kitab bhi kia kitab hai,
Kaheen ik haseen sa khawab hai,
Kaheen jaan lewa azab hai,
Kaheen aansuon ki hai daastan,
Kaheen muskrahaton ka bayan hai,
Kai chehre is mein chupe huay,
Ik ajeeb sa ye naqab hai,
Kahin kho dya, kaheen paa lia,
Kaheen ro lia, kaheen gaa liya,
Kaheen cheen leti hai har khushi,
Kaheen meharbaan be-hisaab hai,
Kaheen dhoop hai,
Kaheen aur hi koi roop hai,
Kaheen barkaton ki hain barishein,
Kaheen tishnagi be-hisaab hai,
Ye jo zindagi ki kitaab hai,
Ye kitaab bhi kiya kitaab hai…
irfan niz 03363721861